Main jo hoon
bas wahin hoon...
main to bas
ek pathar ka tukda hoon
Chota chamakdaar chikna
bheegi ret mein daba hua
lehro ko choota hua
suraj ki raushni mein sota hua
ek pathar ka tukda tha
main jo tha
bas waheen hoon
main ek pathar ka tukda hoon
Tumne uthaya mujhko
Ret ke kile ka
Deewar banaya mujhko
fir wahan se dwaar pe lagaya tumne
main na to deewar na dwaar tha
main to sirf tumhara vichaar tha
main tumhara khilauna bana
main ek pathar ka tukda hoon
fir tumhi ko meri chiknahat pasand aayi
tumhi ne mujhe ghar pe laya
fir bekar samajh ke nikaal diya
main na to chikna bana na bekaar bana
Main jo tha
Bas wahi raha
Chota chamakdaar chikna
mai ek pathar ka tukda heen raha
tumne mujhe ek moorat mein sajaya
Durga ka shringaar banaya
tum khud heen mere samne jhuke
mujh fir pani mein tumhi ne doobaya
main na to shirodharya tha
na heen shringaar tha
main to wo he tha
main sirf ek pathar ka tukda tha
fakir se mujhe tumne manga
gale ka haar banya tumne
kache dhaage mein baandh mujhe
apna naseeb banaya tumne
Wo kya kisi ka naseeb badalta
jo kache dhaage se bandha
khud hawa mein latka hai
Main to bas ek pathar ka tukda hoon
Main jo tha
woh aaj bhi hoon
Chota chamakdaar chikna
main ek pathar ka tukda hoon
Woh tumhara heen chal tha
jisne mujhe toda
Ek ratan bana kar
mujhe ek angoothi se joda
Zameen par pada koi ratan hua hai
Toot kar koi bahumulya bana hai?
main naheen toota
tumhare kapat ne muje toda hai
Tumne heen mujhe chuna
hamesha sang rakne ka wada bhi kiya
fir achanak kisi ke kehne pe
tumne heen utha kar fek diya
Tumne khud heen vada toda
Tumhi ne mana heera
Tum heen kaha roda
main to wo heen hoon jo tha
Main kahan badla?
Chota chamakdar chikna
Adha adhoora, Sadak par pada hua
Main Ek pathar ka tookda hoon
Main jo tha
Wo aaj bhi hoon
nazarein to tumhari badalti hain
main bas ek pathar ka tukda hoon