PS: The Blog Header is designed by Ashish - The Future Emperor of the World

Friday, June 05, 2009

Alone
Dil baat hum dil mein daba ke rakhte hain...
Hum Uff bhi karenge to woh badnaam ho jayegi


Akele!!!


Na raat thi na din ka samay tha
Ast suraj ke kiranon ka jai tha
Na grih na path par main tha
Madhushala ke bheed mein main tha

Na shatruon na doston mein main tha,
Anjaan chehron mein akela sa main tha
Na shrota na vakta mein main tha
Un ankahe ahsasoon mein main tha

Na jaga na soya hua tha
Na jaane kahan main khoya hua tha
Na ghazal na nagmon mein woh dum tha
lehron ki cheekhon mein jo gum tha

Na sisakta Na muskurata hua main tha
Murdon sa shant baitha hua main tha
Na dukh na dard mein tadapta hua main tha
Aaj jeet main unke bina, bas main tha

No comments: